THIS BLOG IS CREATED BY MOHD ASLAM ANSARY NAI BASTI NOWGAWAN SADAT

Sunday, April 25, 2010

Loss of a mother

Loss of a Mother (urdu)
Mujhay raat gay tak bahir
rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar
hansi mein uchaal data tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker
taal deta tha
Who mujhay deekh kar
muskra deti thi
Aur pyaar say chapat laga
dati thi
Main usay bohat satata tha
bohat nakhray deekhata tha
Who her baar meray naaz
uthati thi
Who meray sadkay wari jati
thi
Raat kay kisi pahar bhi ghar
jo aata us ko apna muntizar
pata
Din raat us kay pyaar ki
barsat hoti
Us ki duwahain hameesha
meray saath hotin
PER AB
Zindagi main who baat nahi
hai
Kyu kah who meray saath
nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki
zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari
duniya rokhi hai
Ghar jab loton who nigahain
dhoondta hon
Sama jaon jin main who
bahain dhoondta hon
Un jaghoon ko deekhta rahta
hon jahan beth kay who
mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra
deekhta hon jahan who
mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon
per nikal jata hon
Her kadam her rastay per
thoker khata hon
Maan to meray liay khuda ki
soorat hai
Tu lout aa kah mujhay abhi
teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaon ga
Khuda kasam tujhay kabhi na
sataon ga
Teri khidmat sobha shaam
karon ga jo kahay gi who her
kaam karon ga
Meray kaan phir say muntizar
hain ek baar phir who lori
suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay
sula day
Kaash kabhi aisi duyahaan na
martein
Kaash kisi ki maien na
martein